Sunday 20 August 2017

How to Move All Contacts to Your New Android Phone(without saving one by one)

Hello Dosto,
Aaj main aapke liye ek new trick laaya hu jisase ki aapke sare purane phone ke contacts new phone me turant save ho jayenge.

Kayi bar aisa hota hai ki hum new phone lete hai to usme hume 1-1 karke contact save karne padte hai jisase ki time bahut lagta hai. Lekin android ne aise bahut sare app nikale hai jisase humara kaam 1 min me ho jata hai. Chalo main aapko niche iski proccess batata hu.

Phone ke all contacts ko Dusri phone me kaise save kare?

1. Sabse pehle aap contact beckup app ko play store se download kare.
[CLICK HERE]

2. Uske baad app ko open kare

3. Home me beckup ka option hoga waha pe click kare

4. Uske baad aapko puchenga ki contacts ko kaha save karna hai aur kis format me to aap Email aur vcf format pe click kare

4. Click karte hi aapke phone ke sare contacts beckup hone lagege jaise hi 100% completed ho jaye aap shareit ki madad se aapke new phone me contact file ko transfer kar le

5. New file me transfer hote hi uspe click kare to aapko contacts list dikhengi aapki aur uper save ka option hoga.

6. Save pe click kar de aapke sare contacts save ho jayenge.☺


0 comments:

 
Design by Dinesh Ramrasar | Bloggerized by Free Blogger Templates | hindi tricks