Tuesday 4 July 2017

Facebook ID Block Hone Par Unblock Kaise Kare?

Hello dosto,
 Kya Aapka Facebook Account Disabled Ho Gya Hai Or Aap Aapne Facebook Account Ko Unlock, Recover Karna Chahte Hai To Aaj Me Aapko Is Post Me Facebook Ki Blocked Account Ko Reactive, Reopen Karna Sikhauga Jisse Aap Aapne Locked Facebook Id Ko Fir Se Recover Kar Sakte Hai, Waise Facebook Kisi Account Ko Bina Kisi Reason Ke Disabled Nahi Karta, Jab Koi Facebook Ke Trems & Service Ko Follow Nahi Karta To Uska Facebook Account Block Ho Jata Hai.

Waise Facebook Permanently Disabled Account Ko Recover Karna Bahut Muskil Hai, Par Agar Aap Meri Batayi Hui Trick Ko Shamjh Kar Aapne Account Ko Recovery Karoge To Bahut Hi Aasani Se Aap Aapne Facebook Account Ko Recover Kar Loge, Kyuki Facebook Account Disabled Kab Karta Hai Agar Yeh Jaankari Le Loge To Aapko Yeh Bhi Pata Chal Jayega Ki Disabled Facebook Account Disabled Se Enabled Kaise Kare

Normally Facebook Account Block Hone Ke Bahut Sare Security Reason Ho Sakte Hai, Facebook Account Block Ho Jata Hai Aap Aksar New Account Bana Lete Hoge Par Aap Block Account Ko Unblock Kar Sakte Hai Disabled Account Ko Reactive Kar Sakte Hai Iska Method Bahut Aasan Hai Jisko Me Hindi Me Step By Step Guide Karne Wala Hu


Facebook Account Recover Karne Se Pahle Yeh Jaanna Bhi Bahut Jaruri Hai Facebook Account Block Kyu Hota Hai, Iske Bahut Reason Hai Jo Aapko Niche Sikhne Ko Milege

Facebook Account Block Kyu Hota Hai

  1. Facebook Par Stylish Font Me I’d Hone Par Aapka Account Block Ho Sakta Hai
  2. Facebook Account Se Jayada Groups Join Or Pages Like Karne Se Aapka Facebook Block Hota Hai

  3. Spam Links Jo Facebook Allowed Nahi Karta Usko Share Karne Se Aapka Account Block Ho Sakta Hai
  4. Facebook Jab Koi Warning Deta Hai Usse Aap Avoid Karte Hai To Aapka Facebook Account Block Ho Sakta Hai
  5. Facebook Par Real Name Se Account Na Hone Par Aapke Account Ko Facebook Block Kar Sakta Hai
  6. Timeline Or Groups Me Jayada Links Share Karne Se Aapka Facebook Account Block Ho Sakta Hai
  7. Agar Aap Jayada Like, Comments, Share Karte Hai To Aapke Action Block Ho Sakte Hai Kabhi Kabhi Account Bhi Block Ho Sakta Hai

  8. Vpn Server, Proxy, Jayada Mobile Me Ek Sath Login Karne Ke Reason Se Aapka Facebook Account Block Ho Jata Hai
  9. Agar Aap Nude, Sex Content Share Karte Hai Or Usko Koi Reported Kar Deta Hai To Bhi Aapka Facebook Account Block Ho Sakta Hai
  10. Facebook Par Bad Words, Abusing Or Sexual Comment, Post Or Message Karne Par Bhi Account Account Blocked Ho Sakta Hai
  11. Facebook Par Jayada Friend Requests Or Kisi Ko Poke Na Kare Isse Bhi Aapka Facebook Account Blocked Ho Sakta Hai


Facebook Account Block Ho Jane Ke Bad Facebook Help Center Se Connect Karke Aap Block Hui ID Ko Fir Se Active Kar Sakte Hai Wo Karna Kaise Hai Wo Me Aapko Batauga, Agar Aapka Account Active Hai Or Aap Aapne Account Ko Secure Karna Chahte Hai To Aap Aapne Account Ko Verified Kar Sakte Hai Yaha Se Padhe “Facebook Account Ko Verify Kaise Kare


Disabled Facebook Account Ko Kaise Recover Kare 

1. Sabse Pahle Aapko Pata Hona Chahiye Ki Aapka Facebook Account Disabled Hua Hai Ya Nahi, Agar Pata Karna Hai To Facebook.Com Me Jaye Or Aapne Facebook Account Ko Login karke Dekhe.

2. Maine Aapko Bataya Tha Ki Aapko Disabled Account Recover Karne Ke Liye Ek Appeal Submit Karna Hoga, Appeal Form Par Jane Ke Liye Niche Diye Gye Appeal Form Button Par Click Kare

 Appeal Form

3. Appeal Form Par Jane Ke Bad Aapke Screen Par Ek Form Aa Jayega Jaha Par Email Or Phone Number, Name, Id (Govt Issue Id Photo), Additional Information Fill Karna Hoga, Aapko Email & Mobile Number Me Wo Likhna Hai Jo Aapke Disabled Account Se Judha Hua Hai Or Full Name Ke Option Me Aapko Blocked Account Ka Full Name Likhna Hoga Or Your ID Ke Option Me Aapko Aapne Govt Id Card Ki Photo Click Karke Upload Karna Hai Jo Blocked Facebook Account Se Related Ho, Or Last Option Additional Info Me Aapko Facebook Account Ke Bare Me Facebook Ko Batana Hai Ki Yeh Aapka Account Hai

4. Yeh Sab Fill Karne Ke Bad “Send” Button Par Click Kare

Note :- Aap Jo Id Card Upload Karoge Uska Name Or DOB Facebook Check Karega, Id Card Ki Photo Me Clear Show Hona Chahiye Or Agar Aap Appeal Submit Kar Dete Hai To 1-2 Dino Me Aapko Email/Number Par Message Mil Jayega Ki Facebook Ne Aapke Account Ko Unblock Kiya Hai Ya Nahi…

To Dosto Is Tarah Se Aap Aapne Disabled Facebook Account Ko Recover Kar Sakte Hai Or Agar Aapka Account Block Ho Gya Hai To Yeh Trick Follow Kare Or Usse Unlock Kare

0 comments:

 
Design by Dinesh Ramrasar | Bloggerized by Free Blogger Templates | hindi tricks