Sunday 28 May 2017

Mobile Ko Tv Remote Kaise Banaye?

HELLO DOSTO,
Aap chowk gaye honge n ki mobile ko kaise tv remote banaya ja sakta hai. Ji ha mobile ko remote bana sakte hai. Aaj kal android mobile me sab kush possible hai.

agar aapke mobile me hai Infrared to aap bhi bana sakte hai apne mobile ko Tv remote (Universal Remote Control) Ji han ab aap apne mobile se hi Tv or DTH ko control kar sakte hai Mobile ki technology ab itni develope ho chuki hai ki ab sirf phone se hi bade bade kaam aasani se kiye ja sakte hai.

Tv remote ki rays infrared par work karti hai aur aap iski infrared ko modkar aasani se control kar sakte hai Mobile me agar aapke infrared hoti hai to ye kaam mobile se hi kiya ja sakta hai aur ise karne ke liye apko ek Tv controller app ki madad leni hoti hai aur yeh app aapko playstore par aasani se milti hai.

Kisi bhi smartphone Or Mobile ko tv remote nahi banaya ja sakta hai kyoki Sabhi mobiles me Infrared nahi hoti hai Infrared sirf kisi bhi chij ko control hi nahi balki mobile security me bhi kaam aati hai aur mobile banane wali companies sabhi mobiles me Infrared ki feature nahi deti hai isliye bahut kam hi phones aapko aise milenge jisme infrared rays milte hai.

Agar aap 20k to 40k ki bich me agar mobile buy karte hai to sayad aapko Infrared ki feature mil jaye par wo depend karta hai mobile banane wali companies par isliye phone jab bhi buy kare to unki features dekh kar le Nokia ke pahle sabhi phones me Infrared milti thi kyunki us waqt wifi nahi hota tha par ab hai isliye infrared ko band kar diya gaya.

Mobile Ko Tv Remote Kaise Banaye?

1. Sabse pahle apne mobile me playstore se Zaza universal tv remote control app download kare. (Click Here)

2. Ab zaza tv remote application ko open kariye aur phir Main screen me jakar Jis bhi equipment ko control karna hai Uspar TAP kare
Is app se aap TV ke alwa bhi aur kuch equipment control kar sakte hai Agar aapko DTH ko control karna hai to DTH icon par click kare Yeh app aapko sabhi prakar ki equipment control karne ki aazadi deta hai.

3. Ab aapko apne TV ka model select karna hai.

Tap karte hi aapke screen par remote show hogi ab aap Mobile remote me power Key press kare press karne ke baad Phir ek notification Bottom me show hogi ab aapko Yes me click karke connection ko confirm kar lena hai.

Finally ! ab aapka phone remote ban chuka hai Ab aap ishe confirm karne ke liye koi bhi channel number enter karke dekhiye Ishi tarah se aap apne DTH ko bhi phone se connect kar mobile ko tv remote bana sakte hai.

Mobile ko DTH ka remote banane ke liye Upar bataye yahi method ka use kare aur First step me Tv icon ki jagah DTH icon par tap kare aur phir DTH ka model select karke phir Model Number confirm karke DTH se connect kar le.

Post ko share karna na bhoole ☺

0 comments:

 
Design by Dinesh Ramrasar | Bloggerized by Free Blogger Templates | hindi tricks